Well yeh topic esa nahi tha kay main jump in karrtiiii kyonke main avoid hi karti hnn behas wehas... per app ki baat nahi mujhay majboor kiya farhan kay main yahan reply karonn....
u said u r a victom of this cast system.... well app esa kyon sochtay hain....why not take it positive..... Parents jo kuch bhi karte hain soch samjh kar aur apni aulad k faiday k liye karte hain....
aur rahi baat yeh kay cast main shadi karna kyon zaroori hay parents ki nazar main.... well sab say pehla point tau yeh k ghar ki larkiyan/larkay daikhay bhalay hotay hain, aur zindagi main kabhi oonch neech ho tau aik hi family honay ki wajah say mamlaat asani say smait liye jatay hain... zaat bradari ka jhagra elehda se issue nahi banta....
aur sab say bara aur important point.... rasm-o-riwaj......rehan sehan
different cast main yeh cheezain mukhtalif hoti hain..... yahan tak kay main nay tau same cast main bhi faraq dekha hay.....
larka tau in cheezon main adjust kar laita hay kyonke wo dominating hay per larki k liye mushkil ho jata hay.....
main bhi is cheez ko nahi manti thi.... per i experinced...
meri khala ki baiti ki shaadi hoi, thay tau wo same cast hi.... per Lahore k nahi balkay tobataik sing k thay....
as we all know k valima kay baad larki aur aur larkay ko ghar latay hain larki kay ghar.....
per janab jab hum apni khala zaad ko lainay gaye tau us kay susral walon nay refuse kar diya .... k g hamaray haan yeh riwaj nahi.......... and we all were

.... wahan acha khasa jhagra hotay hotay reh gaya.... unhoo nay nahi anay diya khair g larki ko........
aur aub bhi wo usay anay nahi dete... k hamaray haan riwaj nahi hay maan baap k ghar ja ja kar rehne ka.............
hum aub sochtay hain kay haye Allah family main hi kar laitay.... aur phir wahan un ka rehan sehan khana peena bhi bht different hay.... wo bichari wahan soookh kar kanta ho gai hay......
tau aub dekh lain yeh same cast ka haal hay, tau agar cast elehda ho tau kitna faraq ho sakta hay......
its really hard to adjust for a girl....
aur 3rd point ........ apnay parents ko na khush kar k jo faislay kiye jatay hain wo kabhi khushi nahi dete.......
main kese kahon..... per yeh meri zindagi ka almiyah hay...... mere mom dad ki shaadi.....they both belong to different cast...
meri mom ki shaadi love hay, aur mere dad ki taraf say aranged.... mere nana is rishtay pay khush nahi thay, cast issue say barh kar jo wajah thi wo yeh kay wo larkay say mutaliq mutmain nahi thay... per pyar tau andha hota hay na so meri mom nay pata nahi kya kya kar ke dad se shaadi ki, nana abu nay is dar se ammi ki shaadi kr di k larki zaat kahin kuch ghalat na kar lay.... per wo zehni tor per kabhi dad ko damad tasleem nahi kar paye....
mom ko dad k ghar a kar pata chala kay sirf wo hi dad say love karti hn dad nahi, aur phir diff cast ki wajah se diff mahol.... she was totally broken....
main detail main nahi jana chahti per......... meri mom nay saari zindagi suffer kiya hay aur aub bhi kar rahi hn, aub tau wo khud kehti hain k kaash main apnay walid ki baat maan laiti....un kay is faislay ka asar sirf un ki zindagi per hi nahi hamari yani meri aur mere bhai ki zindagi per bhi para hay.... hamain hamaray nankay nay achi tarah say accept nahi kiya....... hamain wo haqeer samjha jata hay.... awal tau koi milta nahi milay tau bus.... aur tau aur dadka bhi kuch kam nahi.... koi kaam jo hum nay mom se seekha ho tau us per yeh suunay ko milta hay kay hain na fair maan da khoon.... enoo ki tameez
mom dad ki kabhi nahi bani... mom dad main love dhoondhti rahi aur dad shayed love k liye banay hi nahi, aur hamara ghar janat bannay ki bajaye jahanm ban gaya.............
So descion against ur parents is a complete disaster...
4th and the last...... pehle tau koshish karain kay apnay parents ko samjhain... per agar wo nahi mantay aur app un ki zid ya khwahish kay agay sar jhukatay hain aur apni khushi un ki khushi k liye qurban kar dete hain.... tau Allah Talla zaroor app ko is ka ajar day ga..... kam se kam app kisi aik jagah tau surkhroo hoon gain na...
aur agar parents nay ziyadti ki hay tau choot un ki bhi nahi ho gi....
Farhan..... app plz aesa mat sochain..... apni khushi ko qurban karna koi asan nahi hota..... i can feel ur pain.... hatts off to you.....Allah tala app ko is qurbani ka zaroor ajar day ga.... and i must say it is a wise descion... kyonke parents ko na khush kar k kabhi koi khush nahi rehta.... aur esi life ka kya faida phir...
Main dua karn gi k Allah tala app ko hamesha khush rakhay....Ameen Sum Ameen
.
Bookmarks